Majrooh Sultanpuri

aa nikal ke maidan mein do-ruKHi ke KHane se

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
aa nikal ke maidāñ meñ do-ruḳhī ke ḳhāne se
kaam chal nahīñ saktā ab kisī bahāne se
ahd-e-inqalāb aayā daur-e-āftāb aayā
muntazir thiiñ ye āñkheñ jis kī ik zamāne se
ab zamīn gā.egī hal ke saaz par naġhme
vādiyoñ meñ nācheñge har taraf tarāne se
ahl-e-dil ugā.eñge ḳhaak se mah o anjum
ab guhar subuk hogā jau ke ek daane se
manchale buneñge ab rañg-o-bū ke pairāhan
ab sañvar ke niklegā husn kār-ḳhāne se
aam hogā ab hamdam sab pe faiz fitrat kā
bhar sakeñge ab dāman ham bhī is ḳhazāne se
maiñ ki ek mehnat-kash maiñ ki tīrgī-dushman
sub.h-e-nau ibārat hai mere muskurāne se
ḳhud-kushī hī raas aa.ī dekh bad-nasīboñ ko!
ḳhud se bhī gurezāñ haiñ bhaag kar zamāne se
ab junūñ pe vo saa.at aa paḌī ki ai 'majrūh'
aaj zaḳhm-e-sar behtar dil pe choT khāne se
Top Urdushayar.com