Darā ke mauj o talātum se ham-nashīnoñ ko
yahī to haiñ jo Duboyā kiye safīnoñ ko
sharāb ho hī ga.ī hai ba-qadr-e-paimāna
ba-azm-e-tark nichoḌā jab āstīnoñ ko
jamāl-e-sub.h diyā rū-e-nau-bahār diyā
mirī nigāh bhī detā ḳhudā hasīnoñ ko
hamārī raah meñ aa.e hazār mai-ḳhāne
bhulā sake na magar hosh ke qarīnoñ ko
kabhī nazar bhī uThā.ī na sū-e-bāda-e-nāb
kabhī chaḌhā ga.e pighlā ke ābgīnoñ ko
yahī jahāñ hai jahannam yahī jahāñ firdaus
batāo ālam-e-bālā ke sair-bīnoñ ko
hue haiñ qāfile zulmat kī vādiyoñ meñ ravāñ
charāġh-e-rāh kiye ḳhūñ-chakāñ jabīnoñ ko
tujhe na maane koī tujh ko is se kyā 'majrūh'
chal apnī raah bhaTakne de nukta-chīnoñ ko