Majrooh Sultanpuri

dast-e-pur-KHun ko kaf-e-dast-e-nigaran samjhe

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
dast-e-pur-ḳhūñ ko kaf-e-dast-e-nigārāñ samjhe
qatl-gah thī jise ham mahfil-e-yārāñ samjhe
kuchh bhī dāman meñ nahīñ ḳhār-e-malāmat ke sivā
ai junūñ ham bhī kise kū-e-bahārāñ samjhe
TuuTe dhāge hī se karte haiñ rafū chāk-e-jigar
kaun bechārgī-e-sīna-figārāñ samjhe
haañ vo bedard to begāna hī achchhā yaaro
jo na tauqīr-e-ġham-e-dard-gusārāñ samjhe
ḳhanda-zan us pe rahe halqa-e-zanjīr-e-junūñ
jo na kuchh manzilat-e-silsila-dārāñ samjhe
aaj se ham ne bhī zaḳhmoñ ko tabassum jaanā
razm ko bazm-gah-e-lāla-ezārāñ samjhe
toḌ deñ ham jo na talvār to kahiye 'majrūh'
teġh-zan kyā hunar-e-zaḳhm-shi.ārāñ samjhe
Top Urdushayar.com