mujhe sahl ho ga.iiñ manzileñ vo havā ke ruḳh bhī badal ga.e
tirā haath haath meñ aa gayā ki charāġh raah meñ jal ga.e
vo lajā.e mere savāl par ki uThā sake na jhukā ke sar
uḌī zulf chehre pe is tarah ki shaboñ ke raaz machal ga.e
vahī baat jo vo na kah sake mire sher-o-naġhma meñ aa ga.ī
vahī lab na maiñ jinheñ chhū sakā qadah-e-sharāb meñ Dhal ga.e
vahī āstāñ hai vahī jabīñ vahī ashk hai vahī āstīñ
dil-e-zār tū bhī badal kahīñ ki jahāñ ke taur badal ga.e
tujhe chashm-e-mast pata bhī hai ki shabāb garmī-e-bazm hai
tujhe chashm-e-mast ḳhabar bhī hai ki sab ābgīne pighal ga.e
mire kaam aa ga.iiñ āḳhirash yahī kāvisheñ yahī gardisheñ
baḌhīñ is qadar mirī manzileñ ki qadam ke ḳhaar nikal ga.e