Majrooh Sultanpuri

aa hi jaegi sahar matla-e-imkan to khula

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
aa hī jā.egī sahar matlā-e-imkāñ to khulā
na sahī bāb-e-qafas rauzan-e-zindāñ to khulā
le ke aa.ī to sabā us gul-e-chīnī kā payām
vo sahī zaḳhm kī sūrat lab-e-ḳhandāñ to khulā
sail-e-rañg aa hī rahegā magar ai kisht-e-chaman
zarb-e-mausam to paḌī band-e-bahārāñ to khulā
dil talak pahuñche na pahuñche magar ai chashm-e-hayāt
baad muddat ke tirā panja-e-mizhgāñ to khulā
dard kā dard se rishta hai chalo ai 'majrūh'
aaj yāroñ se ye ik uqda-e-āsāñ to khulā
Top Urdushayar.com