āḳhir ġham-e-jānāñ ko ai dil baḌh kar ġham-e-daurāñ honā thā
is qatre ko banñā thā dariyā is mauj ko tūfāñ honā thā
har moḌ pe mil jaate haiñ abhī firdaus-o-jināñ ke shaidā.ī
tujh ko to abhī kuchh aur hasīñ ai ālam-e-imkāñ honā thā
vo jis ke gudāz-e-mehnat se pur-nūr shabistāñ hai terā
ai shoḳh usī baazū pe tirī zulfoñ ko pareshāñ honā thā
aatī hī rahī hai gulshan meñ ab ke bhī bahār aa.ī hai to kyā
hai yuuñ ki qafas ke goshoñ se elān-e-bahārāñ honā thā
aayā hai hamāre mulk meñ bhī ik daur-e-zuleḳhā.ī yaanī
ab vo ġham-e-zindāñ dete haiñ jin ko ġham-e-zindāñ honā thā
ab khul ke kahūñgā har ġham-e-dil 'majrūh' nahīñ vo vaqt ki jab
ashkoñ meñ sunānā thā mujh ko aahoñ meñ ġhazal-ḳhvāñ honā thā