ḳhatm shor-e-tūfāñ thā duur thī siyāhī bhī
dam ke dam meñ afsāna thī mirī tabāhī bhī
iltifāt samjhūñ yā be-ruḳhī kahūñ is ko
rah ga.ī ḳhalish ban kar us kī kam-nigāhī bhī
us nazar ke uThne meñ us nazar ke jhukne meñ
naġhma-e-sahr bhī hai āh-e-sub.h-gāhī bhī
yaad kar vo din jis din terī saḳht-gīrī pur
ashk bhar ke uTThī thī merī be-gunāhī bhī
pastī-e-zamīñ se hai rif.at-e-falak qaa.em
merī ḳhasta-hālī se terī kaj-kulāhī bhī
sham.a bhī ujālā bhī maiñ hī apnī mahfil kā
maiñ hī apnī manzil kā rāhbar bhī raahī bhī
gumbadoñ se palTī hai apnī hī sadā 'majrūh'
masjidoñ meñ kī maiñ ne jā ke dād-ḳhvāhī bhī