Majrooh Sultanpuri

ahl-e-tufan aao dil-walon ka afsana kahen

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
ahl-e-tūfāñ aao dil-vāloñ kā afsāna kaheñ
mauj ko gesū bhañvar ko chashm-e-jānāna kaheñ
daar par chaḌh kar lagā.eñ nāra-e-zulf-e-sanam
sab hameñ bā-hosh samjheñ chāhe dīvāna kaheñ
yār-e-nukta-dāñ kidhar hai phir chaleñ us ke huzūr
zindagī ko dil kaheñ aur dil ko nazrāna kaheñ
thāmeñ us but kī kalā.ī aur kaheñ is ko junūñ
chuum leñ muñh aur ise andāz-e-rindāna kaheñ
surḳhi-e-mai kam thī maiñ ne chhū liye saaqī ke hoñT
sar jhukā hai jo bhī ab arbāb-e-mai-ḳhāna kaheñ
tishnagī hī tishnagī hai kis ko kahiye mai-kada
lab hī lab ham ne to dekhe kis ko paimāna kaheñ
pāra-e-dil hai vatan kī sarzamīñ mushkil ye hai
shahr ko vīrān yā is dil ko vīrāna kaheñ
ai ruḳh-e-zebā batā de aur abhī ham kab talak
tīrgī ko sham-e-tanhā.ī ko parvāna kaheñ
aarzū hī rah ga.ī 'majrūh' kahte ham kabhī
ik ġhazal aisī jise tasvīr-e-jānāna kaheñ
Top Urdushayar.com