Majrooh Sultanpuri

jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
jalā ke mish.al-e-jāñ ham junūñ-sifāt chale
jo ghar ko aag lagā.e hamāre saath chale
dayār-e-shām nahīñ manzil-e-sahar bhī nahīñ
ajab nagar hai yahāñ din chale na raat chale
hamāre lab na sahī vo dahān-e-zaḳhm sahī
vahīñ pahuñchtī hai yaaro kahīñ se baat chale
sutūn-e-dār pe rakhte chalo saroñ ke charāġh
jahāñ talak ye sitam kī siyāh raat chale
huā asiir koī ham-navā to duur talak
ba-pās-e-tarz-e-navā ham bhī saath saath chale
bachā ke laa.e ham ai yaar phir bhī naqd-e-vafā
agarche luTte rahe rahzanoñ ke haath chale
phir aa.ī fasl ki mānind barg-e-āvāra
hamāre naam guloñ ke murāslāt chale
qatār-e-shisha hai yā kārvān-e-ham-safarāñ
ḳhirām-e-jām hai yā jaise kā.enāt chale
bhulā hī baiThe jab ahl-e-haram to ai 'majrūh'
baġhal meñ ham bhī liye ik sanam kā haath chale
Top Urdushayar.com