chaman hai maqtal-e-naġhma ab aur kyā kahiye
bas ik sukūt kā aalam jise navā kahiye
asīr-e-band-e-zamāna huuñ sāhabān-e-chaman
mirī taraf se guloñ ko bahut duā kahiye
yahī hai jī meñ ki vo rafta-e-taġhāful o naaz
kahīñ mile to vahī qissa-e-vafā kahiye
use bhī kyuuñ na phir apne dil-e-zabūñ kī tarah
ḳharāb-e-kākul o āvāra-e-adā kahiye
ye kū-e-yār ye zindāñ ye farsh-e-mai-ḳhāna
inheñ ham ahl-e-tamannā ke naqsh-e-pā kahiye
vo ek baat hai kahiye tulū-e-sub.h-e-nashāt
ki tābish-e-badan o shola-e-hinā kahiye
vo ek harf hai kahiye use hikāyat-e-zulf
ki shikva-e-rasan o bandish-e-balā kahiye
rahe na aañkh to kyuuñ dekhiye sitam kī taraf
kaTe zabān to kyuuñ harf-e-nā-ravā kahiye
pukāriye kaf-e-qātil ko ab muālij-e-dil
baḌhe jo nāḳhun-e-ḳhanjar girah-kushā kahiye
paḌe jo sañg to kahiye use nivāla-e-zar
lage jo zaḳhm badan par use qabā kahiye
fasāna jabr kā yāroñ kī tarah kyuuñ 'majrūh'
maza to jab hai ki jo kahiye barmalā kahiye