Majrooh Sultanpuri

aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
āh-e-jāñ-soz kī mahrūmi-e-tāsīr na dekh
ho hī jā.egī koī jiine kī tadbīr na dekh
hādse aur bhī guzre tirī ulfat ke sivā
haañ mujhe dekh mujhe ab merī tasvīr na dekh
ye zarā duur pe manzil ye ujālā ye sukūñ
ḳhvāb ko dekh abhī ḳhvāb kī tābīr na dekh
dekh zindāñ se pare rañg-e-chaman josh-e-bahār
raqs karnā hai to phir paañv kī zanjīr na dekh
kuchh bhī huuñ phir bhī dukhe dil kī sadā huuñ nādāñ
merī bātoñ ko samajh talḳhi-e-taqrīr na dekh
vahī 'majrūh' vahī shā.ir-e-āvāra-mizāj
koī uTThā hai tirī bazm se dil-gīr na dekh
Top Urdushayar.com