hameñ shu.ūr-e-junūñ hai ki jis chaman meñ rahe
nigāh ban ke hasīnoñ kī anjuman meñ rahe
tū ai bahār-e-gurezāñ kisī chaman meñ rahe
mire junūñ kī mahak tere pairahan meñ rahe
mujhe nahīñ kisī uslūb-e-shā.irī kī talāsh
tirī nigāh kā jaadū mire suḳhan meñ rahe
na ham qafas meñ ruke misl-e-bū-e-gul sayyād
na ham misāl-e-sabā halqa-e-rasan meñ rahe
khule jo ham to kisī shoḳh kī nazar meñ khule
hue girah to kisī zulf kī shikan meñ rahe
sarishk rañg na baḳhshe to kyuuñ ho bār-e-mizha
lahū hinā nahīñ bantā to kyuuñ badan meñ rahe
hujūm-e-dahr meñ badlī na ham se vaz-e-ḳhirām
girī kulāh ham apne hī bāñkpan meñ rahe
ye hukm hai rahe muTThī meñ band sail-e-nasīm
ye zid hai bahr-e-tapāñ kūza-e-kuhan meñ rahe
zabāñ hamārī na samjhā yahāñ koī 'majrūh'
ham ajnabī kī tarah apne hī vatan meñ rahe