Majrooh Sultanpuri

junun-e-dil na sirf itna ki ek gul pairahan tak hai

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
junūn-e-dil na sirf itnā ki ik gul pairahan tak hai
qad o gesū se apnā silsila dār-o-rasan tak hai
magar ai ham-qafas kahtī hai shorīda-sarī apnī
ye rasm-e-qaid-o-zindāñ ek dīvār-e-kuhan tak hai
kahāñ bach kar chalī ai fasl-e-gul mujh ābla-pā se
mire qadmoñ kī gul-kārī bayābāñ se chaman tak hai
maiñ kyā kyā jura.a-e-ḳhūñ pī gayā paimāna-e-dil meñ
balā-noshī mirī kyā ik mai-e-sāġhar shikan tak hai
na āḳhir kah sakā us se mirā hāl-e-dil-e-sozāñ
mah-e-tābāñ ki jo us kā sharīk-e-anjuman tak hai
navā hai jāvedāñ 'majrūh' jis meñ rūh-e-sā.at ho
kahā kis ne mirā naġhma zamāne ke chalan tak hai
Top Urdushayar.com