hoñ jo saare dast o pā haiñ ḳhuuñ maiñ nahlā.e hue
ham bhī haiñ ai dil bahārāñ kī qasam khaa.e hue
ḳhabt hai ai ham-nashīñ aql-e-harīfān-e-bahār
hai ḳhizāñ in kī inheñ ā.īna dikhlā.e hue
kyā hai zikr-e-ātish-o-āhan ki gaddārān-e-gul
mārte haiñ haath añgāroñ pe ghabrā.e hue
zindagī kī qadr sīkhī shukriya teġh-e-sitam
haañ hameñ the kal talak jiine se uktā.e hue
sair-e-sāhil kar chuke ai mauj-e-sāhil sar na maar
tujh se kyā bahleñge tūfānoñ ke bahlā.e hue
hai yahī ik kārobār-e-naġhma-o-mastī ki ham
yā zamīñ par yā sar-e-aflāk haiñ chhā.e hue
saaz uThāyā jab to garmāte phire zarroñ ke dil
jaam haath aayā to mahr o mah ke ham-sā.e hue
dasht o dar banñe ko haiñ 'majrūh' maidān-e-bahār
aa rahī hai fasl-e-gul parcham ko lahrā.e hue