Majrooh Sultanpuri

jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
jab huā irfāñ to ġham ārām-e-jāñ bantā gayā
soz-e-jānāñ dil meñ soz-e-dīgarāñ bantā gayā
rafta rafta munqalib hotī ga.ī rasm-e-chaman
dhīre dhīre naġhma-e-dil bhī fuġhāñ bantā gayā
maiñ akelā hī chalā thā jānib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kārvāñ bantā gayā
maiñ to jab jānūñ ki bhar de sāġhar-e-har-ḳhās-o-ām
yuuñ to jo aayā vahī pīr-e-muġhāñ bantā gayā
jis taraf bhī chal paḌe ham ābla-pāyān-e-shauq
ḳhaar se gul aur gul se gulsitāñ bantā gayā
sharh-e-ġham to muḳhtasar hotī ga.ī us ke huzūr
lafz jo muñh se na niklā dāstāñ bantā gayā
dahr meñ 'majrūh' koī jāvedāñ mazmūñ kahāñ
maiñ jise chhūtā gayā vo jāvedāñ bantā gayā
Top Urdushayar.com