Majrooh Sultanpuri

wo to gaya ye dida-e-KHun-bar dekhiye

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
vo to gayā ye dīda-e-ḳhūñ-bār dekhiye
dāman pe rañg-e-pairahan-e-yār dekhiye
dikhlā ke vo to le bhī gayā shoḳhi-e-ḳhirām
ab tak haiñ raqs meñ dar o dīvār dekhiye
uktā ke ham ne toḌī thī zanjīr-e-nām-o-nañg
ab tak fazā meñ hai vahī jhankār dekhiye
siine meñ chhup gayā hai tulū-e-sahar ke saath
ab shāḳh-e-dil pe vo gul-e-ruḳhsār dekhiye
barq-e-tapīda bād-e-sabā shola aur ham
haiñ kaise kaise us ke giraftār dekhiye
pahle bhī tez-rau the par us dil-nashīñ ke saath
ye chashm-e-nam ye masti-e-raftār dekhiye
'majrūh' ke laboñ se ye ḳhushbū na jā sakī
baḳhshī jo us ne daulat-e-bedār dekhiye
Top Urdushayar.com