Majrooh Sultanpuri

aabla-pa koi guzra tha jo pichhle san mein

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
ābla-pā koī guzrā thā jo pichhle san meñ
surḳh kāñToñ kī bahār aa.ī hai ab ke ban meñ
dekhnā rañg-e-badan yaar ke pairāhan meñ
chāñdnī duudh sī chhiTkī hai mire āñgan meñ
dekhnā dīda-varo āmad-e-tūfān to nahīñ
Tapkī hai dard kī ek buuñd mire dāman meñ
maiñ ham-āġhosh-e-sanam thā magar a pīr-e-haram
ye shikan kaise paḌī aap ke pairahan meñ
kuchh na kuchh aaj asīroñ ne kahā to hai zarūr
ek ik gul se lipaTtī hai sabā gulshan meñ
sahal itne bhī nahīñ ai sitam-ījād ki ham
thaam lete haiñ garebān divāne-pan meñ
sar taslīm nahīñ bāzū-e-qātil kā javāb
āḳhirash maare ga.e ḳhud bhī masīhā an meñ
jā rahe ho to zarā dekhnā tum bhī 'majrūh'
merī āñkheñ vahīñ zindāñ ke kisī rauzan meñ
Top Urdushayar.com