adā-e-tūl-e-suḳhan kyā vo iḳhtiyār kare
jo arz-e-hāl ba-tarz-e-nigāh-e-yār kare
bahut hī talḳh-navā huuñ magar azīz-e-vatan
maiñ kyā karūñ jo tirā dard be-qarār kare
qadam ko faiz-e-junūñ se vo hausla hai nasīb
jo ḳhār-e-rāh ko bhī sham-e-rahguzār kare
jagā.eñ ham-safaroñ ko uThā.eñ parcham-e-shauq
na jaane kab ho sahar kaun intizār kare
misāl miltī hai kitnoñ kī us divāne se
chaman se duur jo baiThā ġham-e-bahār kare
dayār-e-jaur meñ rasta hai ik yahī varna
kise pasand hai ai dil ki sair-dār kare
ḳhudā kare ġham-e-gītī kā pech-o-tāb ai dost
kuchh aur bhī tirī zulfoñ ko tābdār kare
sitam ki teġh-e-qalam deñ use jo ai 'majrūh'
ġhazal ko qatl kare naġhme ko shikār kare