Majrooh Sultanpuri

jalwa-e-gul ka sabab dida-e-tar hai ki nahin

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
jalva-e-gul kā sabab dīda-e-tar hai ki nahīñ
merī aahoñ se bahārāñ kī sahar hai ki nahīñ
rāh-e-gum-karda huuñ kuchh us ko ḳhabar hai ki nahīñ
us kī palkoñ pe sitāroñ kā guzar hai ki nahīñ
dil se miltī to hai ik raah kahīñ se aa kar
sochtā huuñ ye tirī rāhguzar hai ki nahīñ
tez ho dast-e-sitam de bhī sharāb ai saaqī
teġh gardan pe sahī jaam sipar hai ki nahīñ
maiñ jo kahtā thā so ai rahbar-e-kotāh-ḳhirām
terī manzil bhī mirī gard-e-safar hai ki nahīñ
ahl-e-taqdīr ye hai mojaza-e-dast-e-amal
jo ḳhazaf maiñ ne uThāyā vo guhar hai ki nahīñ
dekh kaliyoñ kā chaTaknā sar-e-gulshan sayyād
sab kī aur sab se judā apnī Dagar hai ki nahīñ
ham rivāyāt ke munkir nahīñ lekin 'majrūh'
zamzama-sanj mirā ḳhūn-e-jigar hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com