jis dam ye sunā hai sub.h-e-vatan mahbūs fazā-e-zindāñ meñ
jaise ki sabā ai ham-qafso betāb ham aa.e zindāñ meñ
ho teġh-e-asar zanjīr-e-qadam phir bhī haiñ naqīb-e-manzil ham
zaḳhmoñ se charāġh-e-rāhguzar baiThe haiñ jalā.e zindāñ meñ
sad-chāk qabā-e-amn-o-sukūñ uryāñ hai ahinsā.ī kā junūñ
kuchh ḳhuuñ se shahīdoñ ne apne vo gul haiñ khilā.e zindāñ meñ
ye jabr-e-siyāsat ye insāñ mazlūm aaheñ majbūr fuġhāñ
zaḳhmoñ kī mahak dāġhoñ kā dhuāñ mat pūchh fazā-e-zindāñ meñ
ġhairoñ kī ḳhalish apnoñ kī lagan soz-e-ġham-e-jānāñ dard-e-vatan
kyā kahiye ki ham haiñ kis kis ko siine se lagā.e zindāñ meñ
gul bantī hai shāyad ḳhāk-e-vatan shāyad ki safar kartī hai ḳhizāñ
ḳhushbu-e-bahārāñ miltī hai kuchh din se havā-e-zindāñ meñ
mujrim the jo ham so qaid hue sayyād magar ab ye to batā
har vaqt ye kis ko DhūñDte haiñ dīvār ke saa.e zindāñ meñ
jismoñ pe ye kis kā nām-e-siyah likh dete haiñ koḌoñ ke nishāñ
haiñ taak meñ kis kī zanjīreñ ab aañkh lagā.e zindāñ meñ
raftār-e-zamāna lai jin kī gaatī hai gul-e-naġhma jin kā
ham gaate haiñ un āvāzoñ se āvāz milā.e zindāñ meñ