dast-e-mun.im mirī mehnat kā ḳharīdār sahī
koī din aur maiñ rusvā sar-e-bāzār sahī
phir bhī kahlā.ūñgā āvāra-e-gesū-e-bahār
maiñ tirā dām-e-ḳhizāñ laakh giraftār sahī
jast kartā huuñ to laḌ jaatī hai manzil se nazar
hā.il-e-rāh koī aur bhī dīvār sahī
ġhairat-e-sañg hai saaqī ye gulū-e-tishna
tere paimāne meñ jo mauj hai talvār sahī
maiñ ne dekhī dekhī usī meñ ġham-e-daurāñ kī jhalak
be-ḳhabar rañg-e-jahāñ se nigah-e-yār sahī
un se bichhḌe hue 'majrūh' zamāna guzrā
ab bhī hoñToñ meñ vahī garmi-e-ruḳhsār sahī