dushman kī dostī hai ab ahl-e-vatan ke saath
hai ab ḳhizāñ chaman meñ na.e pairahan ke saath
sar par havā-e-zulm chale sau jatan ke saath
apnī kulāh kaj hai usī bāñkpan ke saath
kis ne kahā ki TuuT gayā ḳhanjar-e-farañg
siine pe zaḳhm-e-nau bhī hai dāġh-e-kuhan ke saath
jhoñke jo lag rahe haiñ nasīm-e-bahār ke
jumbish meñ hai qafas bhī asīr-e-chaman ke saath
'majrūh' qāfile kī mire dāstāñ ye hai
rahbar ne mil ke luuT liyā rāhzan ke saath