Majrooh Sultanpuri

taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
taqdīr kā shikva be-ma.anī jiinā hī tujhe manzūr nahīñ
aap apnā muqaddar ban na sake itnā to koī majbūr nahīñ
ye mahfil-e-ahl-e-dil hai yahāñ ham sab mai-kash ham sab saaqī
tafrīq kareñ insānoñ meñ is bazm kā ye dastūr nahīñ
jannat ba-nigah tasnīm ba-lab andāz us ke ai shaiḳh na pūchh
maiñ jis se mohabbat kartā huuñ insāñ hai ḳhayālī huur nahīñ
vo kaun sī sub.heñ haiñ jin meñ bedār nahīñ afsūñ terā
vo kaun sī kaalī rāteñ haiñ jo mere nashe meñ chuur nahīñ
sunte haiñ ki kāñTe se gul tak haiñ raah meñ lākhoñ vīrāne
kahtā hai magar ye azm-e-junūñ sahrā se gulistāñ duur nahīñ
'majrūh' uThī hai mauj-e-sabā āsār liye tūfānoñ ke
har qatra-e-shabnam ban jaa.e ik jū-e-ravāñ kuchh duur nahīñ
Top Urdushayar.com