Majrooh Sultanpuri

su-e-maqtal ki pae sair-e-chaman jate hain

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
sū-e-maqtal ki pa.e sair-e-chaman jaate haiñ
ahl-e-dil jām-ba-kaf sar-ba-kafan jaate haiñ
aa ga.ī fasl-e-junūñ kuchh to karo dīvāno
abr sahrā kī taraf sāya-fagan jaate haiñ
us ko dekhā nahīñ tum ne ki yahī kūcha o raah
shāḳh-e-gul shoḳhi-e-raftār se ban jaate haiñ
vo agar baat na pūchhe to kareñ kyā ham bhī
aap hī rūThte haiñ aap hī man jaate haiñ
bulbulo apnī navā faiz hai un āñkhoñ kā
jin se ham sīkhne andāz-e-suḳhan jaate haiñ
jo Thahartī to zarā chalte sabā ke hamrāh
yuuñ bhī ham roz kahāñ sū-e-chaman jaate haiñ
luT gayā qāfila-e-ahl-e-junūñ bhī shāyad
log hāthoñ meñ liye tār-e-rasan jaate haiñ
rok saktā hameñ zindān-e-balā kyā 'majrūh'
ham to āvāz haiñ dīvār se chhan jaate haiñ
Top Urdushayar.com