Majrooh Sultanpuri

wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
vo jis pe tumheñ sham-e-sar-e-rah kā gumāñ hai
vo sho.ala-e-āvāra hamārī hī zabāñ hai
ab haath hamāre hai inaañ raḳhsh-e-junūñ kī
ab sar pe hamāre kulah-e-sañg-e-butāñ hai
bas pher ke muñh ḳhaar qadam khīñch rahe the
dekhā to nihāñ qāfila-e-ham-safarāñ hai
chubhte hī banī ḳhār-sifat pā-e-ḳhizāñ meñ
kyā kiije bahut ham ko ġham-e-lāla-ruḳhāñ hai
kaam aa.e bahut log sar-e-maqtal-e-zulmāt
ai raushnī-e-kūcha-e-dil-dār kahāñ hai
ai fasl-e-junūñ ham ko pa.e-shaġhl-e-garebāñ
paivand hī kaafī hai agar jaama girāñ hai
'majrūh' kahāñ se guhar-e-gandum-o-jau laa.eñ
apnī to girah meñ yahī chashm-e-nigarāñ hai
Top Urdushayar.com