Majrooh Sultanpuri

nigah-e-saqi-e-na-mehrban ye kya jaane

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
nigāh-e-sāqī-e-nā-mehrbāñ ye kyā jaane
ki TuuT jaate haiñ ḳhud dil ke saath paimāne
milī jab un se nazar bas rahā thā ek jahāñ
haTī nigāh to chāroñ taraf the vīrāne
hayāt laġhzish-e-paiham kā naam hai saaqī
laboñ se jaam lagā bhī sakūñ ḳhudā jaane
tabassumoñ ne nikhārā hai kuchh to saaqī ke
kuchh ahl-e-ġham ke sañvāre hue haiñ mai-ḳhāne
ye aag aur nahīñ dil kī aag hai nādāñ
charāġh ho ki na ho jal-bujheñge parvāne
fareb-e-sāqi-e-mahfil na pūchhiye 'majrūh'
sharāb ek hai badle hue haiñ paimāne
Top Urdushayar.com