Farooq Engineer

mausam ne ruKHsati jo sunai bahaar ki

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
mausam ne ruḳhsatī jo sunā.ī bahār kī
bhar aa.ī aañkh gul hī nahīñ ḳhaar ḳhaar kī
jaa.eñ to jaa.eñ bichhḌe hue log kis taraf
haiñ phuul naqsh-e-pā ke na ḳhushbū ġhubār kī
ik pal diloñ ke darmiyāñ qaa.em hai aaj tak
tūfāñ ne toḌne kī to koshish hazār kī
muddat se tak rahā hai mirī raah rozgār
ai ishq ḳhuub terī ravish iḳhtiyār kī
aksar haiñ dekhne meñ bahut ḳhushnumā magar
rishtoñ meñ ab mahak hai kahāñ e'tibār kī
phirtī hai mujh ko le ke na jaane kahāñ kahāñ
'fārūq' merī ḳhaak hai ye kis dayār kī
Top Urdushayar.com