Majrooh Sultanpuri

mere pichhe ye to muhaal hai ki zamana garm-e-safar na ho

Majrooh Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1919-2000
mire pīchhe ye to muhāl hai ki zamāna garm-e-safar na ho
ki nahīñ mirā koī naqsh-e-pā jo charāġh-e-rāhguzar na ho
ruḳh-e-teġh se jo na ho kabhī sahar aisī koī nahīñ mirī
nahīñ aisī ek bhī shaam jo tah-e-zulf-e-dār basar na ho
mire haath haiñ to lūñgā ḳhud maiñ ab apnā sāqi-e-mai-kada
ḳhum-e-ġhair se to ḳhudā kare lab-e-jām bhī mirā tar na ho
maiñ hazār shakl badal chukā chaman-e-jahāñ meñ sun ai sabā
ki jo phuul hai tire haath meñ ye mirā hī laḳht-e-jigar na ho
jinheñ sab samajhte haiñ mehr o mah na hoñ sirf chand nuqūsh-e-pā
jise kahte haiñ kurra-e-zamīñ faqat ek sañg-e-safar na ho
tire pā zamīñ pe ruke ruke tirā sar falak pe jhukā jhukā
koī tujh se bhī hai azīm-tar yahī vahm tujh ko magar na ho
shab-e-zulm narġha-e-rāhzan se pukārtā hai koī mujhe
maiñ farāz-e-dār se dekh luuñ kahīñ kārvān-e-sahar na ho
Top Urdushayar.com