yaqīñ banātā hai koī gumāñ banātā hai
jo aadmī hai alag dāstāñ banātā hai
shikast kartā hai zanjīr-e-ḳhāna-o-mehrāb
aur ek halqa-e-āvārgāñ banātā hai
gil-e-vajūd se kartā hai kasb-e-kūza-e-jāñ
ḳhumār-e-sūd meñ lekin ziyāñ banātā hai
kamāl be-ḳhabarī hai agar baham ho jaa.e
magar ye ziist ko āsāñ kahāñ banātā hai
pas-e-charāġh irāda koī to hai 'āzar'
jo mere sho.ala-e-dil ko dhuāñ banātā hai