ab ke bāzār meñ ye turfa tamāshā dekhā
bechne nikle to yūsuf kā ḳharīdār na thā
dosto rasm-e-mohabbat pe ye kyā bait ga.ī
shahr-e-yārāñ meñ koī shaḳhs sar-e-dār na thā
aur bhī log the taufīq-e-vafā rakhte the
ek maiñ hī to tire ġham kā sazā-vār na thā
dil ke kahne pe lagā lī hai vafā kī tohmat
varna jiinā to mujhe bā.is-e-āzār na thā
maslahat-kesh bane baiThe haiñ sab ahl-e-vafā
itnā rusvā to kabhī ishq kā pindār na thā
tujh ko chāhā to kisī aur ko chāhā na gayā
maiñ to fankār thā 'ġhālib' kā taraf-dār na thā