Mushaf Iqbal Tausifi

ab kisi ko dekh kar ek samt muD jate hain hum

Mushaf Iqbal Tausifi

Badayun, Uttar pradesh, India

1940
ab kisī ko dekh kar ik samt muḌ jaate haiñ ham
jis se milnā chāhte haiñ us se katrāte haiñ ham
log tujh ko bevafā kahte haiñ in se kyā gila
rañg-e-duniyā dekh kar ḳhāmosh ho jaate haiñ ham
ye namī āñkhoñ kī siine kī jalan jaatī nahīñ
terī mahfil meñ bhī tanhā.ī se ghabrāte haiñ ham
muḌ ke dekhā thā to saarā shahar patthar ho gayā
lauT kar aa.e to har patthar se Takrāte haiñ ham
kyuuñ zamāne bhar kī ḳhushiyoñ se hai koī ġham aziiz
aa.ine ke paas aao tum ko samjhāte haiñ ham
Top Urdushayar.com