ashkoñ se ba-rañg-e-āb ham ne
dariyā ko likhā sarāb ham ne
ham ḳhud se savāl kar rahe the
lo DhūñD liyā javāb ham ne
dekhā nahīñ us ko kitne din se
uñglī pe kiyā hisāb ham ne
ab apnī nigāh darmiyāñ hai
dekhā tujhe be-naqāb ham ne
kyā kyā na hamāre jī meñ aa.ī
kuchh tum ko diyā javāb ham ne
jugnū bhī na de sake na de vo
māñgā nahīñ āftāb ham ne
ik ġham hai use bhī bhuul jaa.eñ
pī rakkhī hai kyā sharāb ham ne
aise ki suno to hañs paḌo tum
dekhe haiñ ajiib ḳhvāb ham ne