ek ġham hai use apnā jāneñ
ham kisī aur ko kyā pahchāneñ
mujh ko barbād kar ābād bhī kar
jhuuT is tarah se kah sach jāneñ
ḳhvāb dekheñ na.e sar se tere
phir tire dhyān kī chādar tāneñ
dil ke bāzār kā naqsha thā ajiib
chāñd niklā to khulīñ dukāneñ
chheḌte haiñ use ḳhud hī 'mus.haf'
us kī bātoñ kā burā bhī māneñ