raat ḳhvāboñ ne pareshāñ kar diyā
sub.h ā.īñe ne hairāñ kar diyā
bole ''baiTho'' aur chehre par mire
ek chehra aur chaspāñ kar diyā
mere aage khīñch dī kaisī lakīr
ik dar-e-be-dar kā darbāñ kar diyā
aap phūloñ titliyoñ meñ chhup ga.e
ham ko sahrā kā nigahbāñ kar diyā
aaise dekhā jaise dekhā hī nahīñ
aaj ham ne us ko hairāñ kar diyā