chashm-o-gosh pe pahre haiñ
andhe haiñ sab bahre haiñ
dukh kī āñkheñ niilī haiñ
dukh ke baal sunahre haiñ
naqsh abhī hai ḳhaal tirā
rañg bhī tere gahre haiñ
merā koī naam nahīñ
jaane kitne chehre haiñ
ma.anī par koī qaid nahīñ
lafzoñ par kyuuñ pahre haiñ
dhyān ke ras meñ Duube lab
bosa bosa chehre haiñ
ashkoñ kī bārish hogī
dukh ke bādal gahre haiñ
ghar kā rasta bhūle 'mus.haf'
ik hotel meñ Thahre haiñ