Mushaf Iqbal Tausifi

apni hi aawargi se Dar gae

Mushaf Iqbal Tausifi

Badayun, Uttar pradesh, India

1940
apnī hī āvārgī se Dar ga.e
bas meñ baiThe aur apne ghar ga.e
saarī bastī raat bhar soī nahīñ
āsmāñ kī samt kuchh patthar ga.e
sab tamāshā saarī duniyā dekh lī
us galī se ho ke apne ghar ga.e
biich meñ jab aa ga.ī dīvār-e-jism
apne saa.e se bhī ham bach kar ga.e
aur kyā loge hamārā imtihāñ
zindagī dī thī sau vo bhī kar ga.e
aap ne rakkhā mirī palkoñ pe haath
merā siina motiyoñ se bhar ga.e
kuchh ḳharīdā ham ne dekho kuchh nahīñ
ham bhī is bāzār se ho kar ga.e
'mus.haf' us ko bevafā kahte ho tum
aur jo ilzām us ke sar ga.e
Top Urdushayar.com