jo biitī hai jo bītegī sab afsāne lage ham ko
use dekhā to apne ḳhvāb hī sachche lage ham ko
unheñ dekhā to jaise par-shikasta koī taa.ir ho
vo apnī Daar se bichhḌe thake haare lage ham ko
bahut nārāz the ḳhud se kisī se kuchh nahīñ bole
vo ik kone meñ yuuñ baiThe hue achchhe lage ham ko
samajhte hī na the samjhāyā un ko rāsta dil kā
ka.ī naqshoñ ko phailāyā ka.ī ghanTe lage ham ko
vahī afsāne duniyā ke ab un se ham ko kyā lenā
kabhī uktā ga.e un se kabhī achchhe lage ham ko
zarā haT kar jo apne-āp ko kuchh duur se dekhā
to jin bātoñ pe itnā ro.e the qisse lage ham ko
unheñ duniyā kā aisā moh socho to hañsī aa.e
vo sattar saal ke hoñge magar bachche lage ham ko
bachā kar laa.e is tanhā.ī ko ham bhiiḌ se 'mus.haf'
phir ik rickshe meñ baiThe aur baḌe dhakke lage ham ko