ik ḳhvāb thī zindagī hamārī
phir aañkh nahīñ khulī hamārī
duniyā se bhī phir nahīñ mile ham
vo bhī to kabhī na thī hamārī
din Dhal gayā ḳhvāb dekhne meñ
kaT jā.egī raat bhī hamārī
palkoñ pe ye phuul āñsuoñ ke
sahrā kī ye ret bhī hamārī
ik dhyān kī lahr ne Duboyā
ik yaad na ho sakī hamārī
Tāpoñ kī sadā sī us ke ġham kī
be-teġh sipāh thī hamārī
kab ho ga.ī mere qad se ūñchī
dīvār ye biich kī hamārī
dekhā to har ā.īne meñ ham the
ḳhud se huī baat bhī hamārī
aa.e ho to ye ġhazal bhī sun lo
be-vaqt kī rāgnī hamārī