sadā za-faiz-e-asar ḳhāmushī na ban jaa.e
jo baat kah na sakūñ aap hī na ban jaa.e
kis intizār meñ hai ghar kā band darvāza
havā bhī sāya-e-zanjīr hī na ban jaa.e
vo ghuT ke mar hī na jaa.e jo mere andar hai
mirā vajūd hī merī nafī na ban jaa.e
tirī vafā mirī nas nas meñ zahr bhar degī
ye dostī bhī tirī dushmanī na ban jaa.e
tumhāre māthe pe ubhrī hai jo shikan kī tarah
yahī lakīr bhaTak kar hañsī na ban jaa.e
uThā.ūñ nazm kā ghuñghaT to sāmne tum ho
ġhazal kahūñ to tumhārī chhabī na ban jaa.e