ḳhvāb huuñ maiñ to mirī zaat se pahle kyā thā
abhī jaagā huuñ to is raat se pahle kyā thā
apne hone kā ab ehsās huā hai kuchh kuchh
tujh se is tishna mulāqāt se pahle kyā thā
maiñ agar chup huuñ ye bahtā huā dariyā kyā hai
lab-kushā huuñ to mirī baat se pahle kyā thā
gardish-e-shām-o-sahar ik nigah-e-mahr tirī
tere is lutf-o-ināyāt se pahle kyā thā
ḳhushbueñ kis kī haiñ ye rañg bhare haiñ kis ne
mere in ḳhaak ke zarrāt se pahle kyā thā
tujh se kyā pūchh rahe the ye mah o mahr o nujūm
maiñ na thā mere savālāt se pahle kyā thā