kis dasht-e-talab meñ kho ga.e ham
saaya jo milā to so ga.e ham
lo aaj bhulā diyā tumheñ bhī
lo aaj tumhāre ho ga.e ham
ai shama-e-firāq bujh chukī shab
ai sā.at-e-vasl so ga.e ham
phir apnā nishāñ kahīñ na paayā
uTh kar tire saath to ga.e ham
yuuñ sub.h ke bhūle apne ghar ko
lauTe haiñ ki aur kho ga.e ham
jab aañkh khulī to ham nahīñ the
jaage haiñ ki ḳhvāb ho ga.e ham
ashkoñ ne ajiib gul khilā.e
kyā naqsh-o-nigār bo ga.e ham
khoyā hai use to ḳhud ko paayā
paayā hai use to kho ga.e ham