Farooq Engineer

hamin to hain jo tere sath chalte rahte hain

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
hamīñ to haiñ jo tire saath chalte rahte haiñ
vagarna log to raste badalte rahte haiñ
kabhī zamāne kā ġham hai kabhī tumhārā ġham
ġhazal sunāne ke pahlū nikalte rahte haiñ
nazar to aate haiñ ab phūl-phal daraḳhtoñ par
ye aur baat ki ham haath malte rahte haiñ
ye apnī marzī ke mālik haiñ in se kuchh na kaho
purāne log haiñ girte sambhalte rahte haiñ
ajab udāsī meñ ab ke guzar rahe haiñ din
jo kaam aaj ke haiñ kal pe Talte rahte haiñ
koī charāġh sar-e-rahguzar bhī raushan ho
muñDer par to diye sab kī jalte rahte haiñ
jhulastī ret pe ik buuñd hī uchhāl kabhī
ye bārishoñ meñ to dariyā ubalte rahte haiñ
na aa.e vo lab-e-iz.hār tak kabhī 'fārūq'
ki jazbe dil meñ to aksar machalte rahte haiñ
Top Urdushayar.com