mustaqil dard kā sailāb kahāñ achchhā hai
vaqfa-e-silsila-e-āh-o-fuġhāñ achchhā hai
ho na jaa.e mire lahje kā asar zahrīlā
in dinoñ muñh se nikal jaa.e zabāñ achchhā hai
mujh se māñgegī mirī aañkh gulābī manzar
ho mire haath meñ tasvīr-e-butāñ achchhā hai
jin ke siine meñ ta.assub nahīñ paltā koī
aise logoñ ke liye saarā jahāñ achchhā hai
kitne chālāk haiñ ye ūñchī havelī vaale
ham se kahte haiñ ki miTTī kā makāñ achchhā hai
zer-e-lab reñgtā rahtā hai tabassum 'sūraj'
is qayāmat se to aahoñ kā dhuāñ rahtā hai