nahīñ thā koī sitārā tire barābar bhī
huā ġhurūb tire saath terā manzar bhī
pighalte dekh rahe the zamīñ pe sho.ale ko
ravāñ thā aañkh se ashkoñ kā ik samundar bhī
kahīñ vo lafz meñ zinda kahīñ vo yādoñ meñ
vo bujh chukā hai magar hai abhī munavvar bhī
ajab ghulāvaTeñ shahd-o-namak kī nutq meñ thī
vahī suḳhan ki thā marham bhī aur nashtar bhī
munāfiqoñ kī baḌī fauj us se Dartī thī
aur us ke paas na thā koī lāv-lashkar bhī