na suntī hai na kahnā chāhtī hai
havā ik raaz rahnā chāhtī hai
na jaane kyā samā.ī hai ki ab kī
nadī har samt bahnā chāhtī hai
sulagtī raah bhī vahshat ne chun lī
safar bhī pā-barahna chāhtī hai
ta.alluq kī ajab dīvāngī hai
ab us ke dukh bhī sahnā chāhtī hai
ujāle kī duāoñ kī chamak bhī
charāġh-e-shab meñ rahnā chāhtī hai
bhañvar meñ āñdhiyoñ meñ bādbāñ meñ
havā masrūf rahnā chāhtī hai