badan ko zaḳhm kareñ ḳhaak ko labāda kareñ
junūñ kī bhūlī huī rasm kā i.aada kareñ
tamām agle zamānoñ ko ye ijāzat hai
hamāre ahd-e-guzishta se istifāda kareñ
unheñ agar mirī vahshat ko āzmānā hai
zamīñ ko saḳht kareñ dasht ko kushāda kareñ
chalo lahū bhī charāġhoñ kī nazr kar deñge
ye shart hai ki vo phir raushnī ziyāda kareñ
sunā hai sachchī ho nīyat to raah khultī hai
chalo safar na kareñ kam se kam irāda kareñ