Manzoor Hashmi

yaqin ho to koi rasta nikalta hai

Manzoor Hashmi

Badayun, Uttar pradesh, India

1935-2008
yaqīn ho to koī rāsta nikaltā hai
havā kī oT bhī le kar charāġh jaltā hai
safar meñ ab ke ye tum the ki ḳhush-gumānī thī
yahī lagā ki koī saath saath chaltā hai
ġhilāf-e-gul meñ kabhī chāndnī ke parde meñ
sunā hai bhes badal kar bhī vo nikaltā hai
likhūñ vo naam to kāġhaz pe phuul khilte haiñ
karūñ ḳhayāl to paikar kisī kā Dhaltā hai
ravāñ-davāñ hai udhar hī tamām ḳhalq-e-ḳhudā
vo ḳhush-ḳhirām jidhar sair ko nikaltā hai
ummīd o yaas kī rut aatī jaatī rahtī hai
magar yaqīn kā mausam nahīñ badaltā hai
Top Urdushayar.com