vufūr-e-shauq meñ jab bhī kalām karte haiñ
to harf harf ko husn-e-tamām karte haiñ
ghane daraḳhtoñ ke saa.e kī umr lambī ho
ki in ke nīche musāfir qayām karte haiñ
use pasand nahīñ ḳhvāb kā havāla bhī
to ham bhī aañkh pe nīndeñ harām karte haiñ
na ḳhushbuoñ ko pata hai na rañg jānte haiñ
parind phūloñ se kaise kalām karte haiñ
ravāñ-davāñ haiñ havā par svāriyāñ kaisī
jinheñ daraḳht bhī jhuk kar salām karte haiñ
chaman meñ jab se use sair karte dekh liyā
usī adā se ġhazālāñ ḳhirām karte haiñ
ab is ko yaad na hogā hamārā chehra bhī
tamām shā.erī ham jis ke naam karte haiñ