Manzoor Hashmi

KHayal o shauq ko jab hum teri taswir karte hain

Manzoor Hashmi

Badayun, Uttar pradesh, India

1935-2008
ḳhayāl o shauq ko jab ham tirī tasvīr karte haiñ
to dil ko ā.īna aur aañkh ko tanvīr karte haiñ
nazar ke sāmne jitnā ilāqa hai vo dil kā hai
to us kī be-dilī ke naam ye jāgīr karte haiñ
havā mismār bhī kar de agar shahr-e-tamannā ko
phir us malbe se qasr-e-ārzū tāmīr karte haiñ
havā.eñ paḌh ke apne naam ke ḳhat jhuum jaatī haiñ
mohabbat se jo pattoñ par shajar tahrīr karte haiñ
hamāre lafz ā.inda zamānoñ se ibārat haiñ
paḌhā jā.egā kal jo aaj vo tahrīr karte haiñ
Top Urdushayar.com