na.ī zamīñ na koī āsmān māñgte haiñ
bas ek gosha-e-amn-o-amān māñgte haiñ
kuchh ab ke dhuup kā aisā mizāj bigḌā hai
daraḳht bhī to yahāñ sā.ebān māñgte haiñ
hameñ bhī aap se ik baat arz karnā hai
par apnī jaan kī pahle amaan māñgte haiñ
qubūl kaise karūñ un kā faisla ki ye log
mire ḳhilāf hī merā bayān māñgte haiñ
hadaf bhī mujh ko banānā hai aur mere harīf
mujhī se tiir mujhī se kamān māñgte haiñ
na.ī fazā ke parinde haiñ kitne matvāle
ki bāl-o-par se bhī pahle uḌaan māñgte haiñ